Sawan ka intizar

Salam pyaray dostu, Kesa raha din ap logun ka, thak tu nahi gaye, gabrah tu nahi gaye yaaru kahain. Sawan ka mahina hay, peehu bol rahay, lekin barish nahi ho rahi, jis ki wajah say hubs kafi barh gayi hay aur bahir Hawa khuri fil haal mumkin nahi. Sharbat aur lemon pay guzara hay. Lassi bhi chal rahi sath main. Garmi Kay thunday mashroob taru taza rehnay main madudgaar rehtay Hain.
Aj barha match hay, Morocco halankay aj tak kabhi bhi France 🇫🇷 say match jeet nahi payi. Lekin Kiya woh aj yeh ker sakay ge aur medan Maar lay ge. Mbappe ko rokhna ho GA. Hakimi ko kuch kerna ho GA. France bhi mujhay pasand, Zainuddin Zedan ki wajah say. Mushkil ghari hay. Morocco jeet Jaye tu maza a Jaye GA. Lekin aik baat hay, France he woh wahid mulk hay Kay Jo Argentina ko hara sakta hay. France gar world cup say bahir ho gaye tu Messi trophy phir say lay urhay ga.
Abh Zara crypto ki baat ho Jaye. Market 💹 ru ba zawal hay. Boriyath si hunay lagi hay. Hive ki price kafi neechay hay. Aj main nay 500 $ Kay 10k Hive power up ker liye. Abh daikhtay qismat Kia rung lathi hay. Sunaheri mauqa hay 100k Hive power ka, Iss price pay muft hay. Risk tu hay Kay price mazeed na neechay chali Jaye, but kitna aur neechay Jaye ge, daikhtay Hain aunt kunsi karwat bettha hay.
Raat gehri ho gayi hay, ankhain bundh hunay lagi hay. Subah phir kaam pay Jana hay. Kolhu Kay bail aur hum main koi farq nahi. Tu Rakhtay qalam abh. Baat kafi ho gayi.
Khush rahain aur khushiyan bantain....
Rub Rakha
hola excelente post saludo desde venezuela
Thank you my friend.
Excelente @raxhi! Justo hablando del Mundial, les recomiendo una página de predicciones que está circulando. Podés mandar HBD o HIVE con el resultado que creés y si acertás ganás. Es automático, sin intermediarios.
https://delightful-pithivier-a624ff.netlify.app/
Ya metí una apuesta y estoy esperando el partido con expectativa jaja. Saludos!