Waqt kahan thumtha

avatar

Mazmun koi bhi likhain tamheed achi Hu tu qari tehreer chorh Kay jata nahi. Khatma bhi jandar huna chahyeye yani samandur ko kozay main bund Kiya Jaye, khualasa itna pur asar huna chahyeye.

Aj kuch dair takhliye main betha tu socha Kay zindagi ki bisath bhi shatrunj say kuch kum nahi. Bus farq itna hay Kay wahan ap ka muqabla siraf aik khilari say he hota hay aur ap Duran e khel waqfa bhi lay saktay Hain jubkay zindagi Kay khel main maumla Zara alag, aik tu khilari aik say ziada dusra raftar iski itni tez kay lamha bhi muyasir nahi Atha kayi baar.

Zindagi main sub say ihum shay Waqt hay. Waqt ka istimaal yeh thay kerta Kay ap kisvkadr achay mansoobasaaz Hain.

Waqt ki qadar kerna sub Kay liye uthna he zaruri jitna pani aur khana budun Kay liye zaruri hota hay. Waqt pay khana na khaya Jaye tu kumi mehsus hoti hay.

Gaya waqt hath nahi Atha. Hum aksar maazi main jeetay rehtay Hain. Yun ker lethay, wun ker lethay. Sahib, jub waqt guzar Jaye tu kahan bus chalta. Maazi ku tu hum sahi kernay say rahay albata mustaqbil Kay liye sahi Manu main koshish ker saktay hain.

Lutf ki baat eh hay Kay hum agar palat Kay daikhtay tu aesa laga hay Kay zindagi bahut juldi guzar gayi. Zindagi ki yeh yeh mukhtasirnaweesi bhi ajub he cheez hay. Her lamha zindagi ki bay sabati pay teherti hay.

Zindagi main hamain mehuz dus say Bara saal he miltay sahi manay main jeenay ku, baqi zindagi tu nend aur buchpanay main he saraf ho jati. Abh yeh thoray day saal tu bunda dhung say G lay.

Woh kehtay Hain Kay ' Saman su baras ka aur pul ki khabar nahi', maut ka ta'qub jaari hay. Hum insan Iss waqt ko Jo nihiyat mukhasir hay, baraad ker detay apni Ana, zid baazi aur dushmsni main. Insan Pata nahi tujhay kis baat ka itna takabur hay, mitti hay aur mitti main mil Jana hay tu na kisi bhi pul.

Bahmi muhabat aur rawadaari kisi bhi mu'ashray ki khushaali ka subab hoti hay. Mazbuth qaumain itefaqko turjeeh deti Hain.

Koshish Bahar haal yeh huni chahyeye Kay samjhootay pay nazar Hu. Waqt ki qadr karain. Sahi waqt pay sahi faisla karain. Aur haal main jeena Shoro ker dain. Yehi zindagi guzarnay ka gur hay.

Maaf kerna seekhain, yeh ap ki zindagi ka barhawa hay.

Beeyhay lamhu Kay liye sugawar hergiz na Hun aur na he apnay ap ko lanat malamath main lagay rahain.

Khush rehnay ki sabeel Kiya karain. Aesi mehfil main jayain jahan ap ki aur waqt ki qadr kernay walay meherbaan log maujood hun.

Apna khayal rakhain aur apnay ird gird logun Kay liye asaniyan paida kijiyeye. Allah meherbaan tu bunday meherbaan.

Shub bakhair

Aik naya hafta ap Kay liye kher aur khushi laye

Rub Rakha



0
0
0.000
4 comments
avatar

Way to go on the daily Ecency leaderboard quest, @raxhi! Zindagi ki shatranj aur aapka khayal-angez tarz-e-tehreer dono hi behtareen hain.

Tipped with Ecency POINTS.

AI Bot may make errors. Admin: @mshbd

0
0
0.000
avatar

Congratulations @raxhi! You have completed the following achievement on the Hive blockchain And have been rewarded with New badge(s)

You published more than 10 posts.
Your next target is to reach 20 posts.

You can view your badges on your board and compare yourself to others in the Ranking
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word STOP

0
0
0.000